Kai sadiyon pehli
Purani baat hai
Ke jab se aasman
Zameen ka saath hai
Aur yeh pagal hawa..
Sansanati hui..
Dhoondi thi yahan..
Kahan mera pyar hai..
Ik din upar wala
Raja soch raha tha
Main kuch banau…
Phir usne parbhat banaye
Socha thodi baraf bicha doon
Baraf se jo pighle..
Pighal jharne jahare..
Ke jharno se wahi..
Khilkhilati nadhi..
Yeh nadhiyo se bana…
Jo sagar aaj hai…
Kai sadiyon sadhiyon
Purani baat hai…
Aab bhi soche upar wala
Kaise chalega ye sansar
Khada rahega kaun zameen pe
Kaun banega palanhaar
Phir dharti ka kiya shringaar
Ped banaye sundar pehredaar
Dekh k yeh shringaar
Ho gaya usko pyar
Bana dale jungle
Jungle hi jungle yaar
Phir to lagne lage phal..
Phal pe pakne lage phal
Yeh nadhiyo ki rawani
Piyega kaun pani
Koi to rooh ho….
Koi ho zindagani…
Ke aab to bacha koi..
Kahin to muskuraye..
Uske tasveer jaise
Puri hone lagi
Magar uski tamana
Adhuri hi rahi
Wo jadu se bahare jo beej
Uske pas the
Usne faila diye zameen pe
Jo unme khas the
Wo aise ped hain
Jinme bhagwan hai
Jo dete pyar hai
Jo lete pyar hai
Unhe bacha koi
Jab jaakar gale lagaye
Jo sapna dekhe wo
Wo sapna sach ho jaye…
Sukhwinder Singh