Aaya tufan, aaya tufan
Bekadar, bewafa hai aasman
Kaise koi jiye, kaise koi jiye
Zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan
Aas ke sab bujh gaye diye
Kaise koi jiye
Badal hai ya dhuwa aag lagi kaha
Jalta na ho kahi mera hi aashiya
Angare the aansu nahi wo, dil ne jo piye
Kaise koi jiye, zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan
Aas ke sab bujh gaye diye
Kaise koi jiye
Tare na jane unchayi gagan ki
Aankhe na samajhe, gehrayi man ki
Gehrayi man ki
Tare na jane
Pyase papihe ne aas thi bandhi
Pyase papihe ne aas thi bandhi
Udd gaye badal aa gayi aandhi
Gam ne jo cheda, dil ne hasi se
Hoth si liye
Kaise koi jiye, zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan.
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Asha Bhosle
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)