Kal tak mujhko gaurav tha
Mai devtao ki hu santan
Aaj magar hu aadha janwar
Aaj hu mai aadha insan
Kal tak meri dhadkan dhadkan
Jiwan rag sunati thi
Lekin aaj hai mere ang ang
Mein jaise thanda ek shamshan
Kaun pukara kaun pukara
Dekho sab kuch badal gaya
Koi pichhe chhut gaya
Hai koi aage nikal gaya
Aag ke hai yeh nag ke jo
Hai lipte huye mere tan se
Pairo se aur baju se aur
Sine se aur gardan se
Kaun pukara kaun pukara
Kal tak mujhko gaurav tha
Mai devtao kee hu santan
Aaj magar hu aadha janwar
Aaj hu mai aadha insan
Kal tak meri dhadkan dhadkan
Jiwan raag sunati thi
Aaj hai mere ang ang men
Jaise thanda ek shamshan
Dharti ki aankhen bhigi hai
Aur ambar bhi rota hai
Duniya men koi sab pata hai
Aur koi sab khota hai
Dharti ki aankhen bhigi hai
Aur ambar bhi rota hai
Duniya men koyi sab pata
Hai aur koyi sab khota hai
Jharne ho nadiya ke sagar
Sab hai pani ke dhare
Lekin in ankho ke aansu
Jaise pigle angare
Chinkh rahi hai sari dishaye
Koi disha khamosh nahi
Dosh nahi hai tera lekin
Phir bhi tu nirdosh nahi
Dub naa jayey dooniya teri
Aansu ki iss baarish men
Lagta hai tere dil aur
Aankhe dono hai iss sajish men.
Loy Mendonsa
Nandini Shrikar
Shankar Mahadevan, Sujatha Mohan
Shankar Mahadevan