Khul ke muskuraale too dard ko sharmaane de
Bundo ko dhartee par saaj ek bajane de
Hawaaye keh rahee hain, aaja jhule jara
Gagan ke gal ko jaake chhule jara
Utaar gham ke moje, jamein ko gungunane de
Kankaro ko talwo me gudgudee machaane de
Khul ke muskuraale saaj ek bajane de
Jhil ek aadat hai, tujhame hee toh rehtee hai
Aur nadee sharaarat hai, tere sang behtee hai
Har lehar yeh kehtee hai, khud ko jhum jaane de
Jindagee ko aaj naya git koyee gaane de
Khul ke muskuraale saaj ek bajane de
Baansuree kee khidkiyo pe sur yeh kyon thithakte hain
Ankh ke samander kyon bewajah chalakte hain
Titliya yeh kehtee hain abb basant aane de
Jangalo ke mausam ko bastiyo me chhaane de
Khul ke muskuraale saaj ek bajane de.
Vijay Yesudas
Mahalakshmi Iyer, Srinivas
Abhijeet Bhattacharya
Shreya Ghoshal, Sonu Nigam
Shankar Mahadevan