Khushiyon ko loot kar yahaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Dete hain gham nishaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Raah e wafaa mein lut gaye
Kitne dilon ke kaafile
Raah e wafaa mein lut gaye
Kitne dilon ke kaafile
Manzil pe aake aur bhi
Badhte rahen hai faasle
Barbaad ho ke rah gayin
Barbaad ho ke rah gayin
Armaan bhari jawaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Kitni hi zindgaaniyaan
Rasmon pe ho gayin fidaa
Kitni hi zindgaaniyaan
Rasmon pe ho gayin fidaa
Do dil mile the pyaar se
Duniyaa ne kar diye judaa
Hote rahe yoon hi sitam
Hote rahe yoon hi sitam
Banti rahin kahaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Jitne khushi ke khwaab the
Sab aansuon mein dhal gaye
Gulshan mein rah gayaa hai kya
Tinke thhe chaar jal gaye
Tinke thhe chaar jal gaye
Thhaa meraa aashiyaan kahaan
Thhaa meraa aashiyaan kahaan
Milti nahin nishaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Aawaaz de mere khudaa
Insaaf hai kahaan teraa
Jal jayegaa jahaan teraa
Mit jayegaa nishaan teraa
Mit jayegaa nishaan teraa
Fariyaad ban gayi agar
Fariyaad ban gayi agar
Ulfat ki bezubaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan
Dete hain gham nishaaniyaan
Kab tak rahengi pyaar par
Duniyaa ki meharbaaniyaan
Khushiyon ko loot kar yahaan.
Jahan Ara Kajjan
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Hemanta Kumar Mukhopadhyay
Mohammed Rafi
Hemanta Kumar Mukhopadhyay, Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood
Lata Mangeshkar