Haaye haaye haaye haaye
Dekhi humne beech bajariya
Jugni jaise koi dujariya
Apne mann ki baat sunaaye
Jugni naache jugni gaaye
Suno daastaan yeh meri
Suno meri yeh kahaani
Koi mera tha deewana
Main bhi jiski thi deewani
Haai kaise the iraade
Jeene marne ke the vaade
Todi thi duniya ki rasmein
Khaayi thi ulfat ki kasmein
Maine khaayi kasam thi sachchi
Maine khaayi kasam thi sachchi
Par uski kasam thi kachchi
Ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Haai ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Jab voh milne ko aata tha
Mere kaise gud gaata tha
Mujhko hoor pari kehta tha
Mujhko dekhta hi rehta tha
Kehta tha jo bhi ho jaaye
Hum na honge kabhi paraaye
Chaahe saari duniya roke par
Yeh milan rahega hoke
Tere pyaar mein voh jaadu hai
Ke ab dil mein tu hi tu hai
Daaka daala na ki chori
Maine pyaar kiya hai gori
Chhodoonga na baiyyaan tohri
Chhodoonga na baiyyaan tohri
Par aisi thi pyaar ki dori
Ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Haai ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Jab thi main uski mannchaahi
Main manzil thi voh tha raahi
Main dhadkan thi voh mera dil
Main thi laher voh mera saahil
Kaise din the kaisi raatein
Kaisi pyaari thi voh baatein
Kaisi mauj mein hum rehte the
Kaise khoye se rehte the
Kaise roothte aur mante the
Kaise jhoot moot bante the
Aankhon mein hai voh tasveerein
Dil par chalti hai shamsheerein
Yaad aati hai voh dildaarein
Yaad aati hai voh dildaarein
Par jhoothi thi uski laarein
Ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke
Ke tut gayi tadak karke.
Alka Yagnik
Alka Yagnik, Udit Narayan
Nana Patekar
Alka Yagnik, Kumar Sanu
Alka Yagnik, Kumar Sanu