Hm mm mm mm, hey aa aa ha ha
La la la la la la la, la la la
Main sochta hoon
Tumhaari duniya se door maine
Jo koi duniya bana li hoti
To zindagi kitni khaali hoti
Hm mm mm mm, hey aa aa ha ha
La la la la la la la, la la la
Main sochti hoon
Ke mere sapnon mein tum hi tum ho
Yeh baat maine chhupa li hoti
To zindagi kitni khaali hoti
Main kya bataaoon ke tum se milke
Main kis tarah se badal gayi hoon
Ho, main phool banke mahek rahi hoon
Main shamma banke pighal gayi hoon
Main sochta hoon
Jo tum na laati haseen ujaale
To raat hoti jo kaali hoti
To zindagi kitni khaali hoti
Hm mm mm mm, hey aa aa ha ha
Ho, la la la la la la la, la la la
Jo tum nahin thi to jaise meri
Har ek khushi mein koi kami thi
Main has raha tha magar in aankhon
Mein phir bhi jaise koi nami thi
Main sochti hoon
Jo aarzoo hai voh dil mein rehti
Na humne lab se nikaali hoti
To zindagi kitni khaali hoti
Main sochta hoon
Tumhaari duniya se door maine
Jo koi duniya bana li hoti
To zindagi kitni khaali hoti
Hm mm mm mm, hey aa aa ha ha
La la la la la la la, la la la.
Alka Yagnik
Kavita Krishnamurthy, Sapna Mukherjee
Alka Yagnik, Udit Narayan
Nana Patekar
Alka Yagnik, Kumar Sanu