Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Ruh bhi hoti hain usme ye kahan sochte hain
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Ruh kya hoti hainm isse unhe matlab hi nahi
Wo to bas tan ke takajo ka kaha maante hain
Ruh mar jaye to, har jism hain chalti hui laash
Is hakikat ko samjhte hain na pahchante hain
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Kitni sadiyo se ye vehshat ka chalan jari hain
Kitni sadiyo se hain kayam ye gunaho ka rawa
Log aurat ki har ek chikh ko nagma samjhe
Ho kabilo ka zamana ho ke shehro ka sama
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Jrab se nasl bade julm se tan mel kare
Ye amal hum hain beilam parindo me nahi
Hum jo insaano ke tahjibo liye firte hain
Hum sa vehshi koi jungle ke darindo me nahi
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Ek main hi nahi kya janiye kitni hongi
Jinko ab aayina takne se jhijhak aati hain
Jinke khaabo me na sahre hai na sindur na sej
Aur na murda hu ke jeene ghamo se chhutu
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Ek bujhi ruh lute jism ke dhache me liye
Sochti hu ki kahan jake mukkadar fodu
Main na jinda hu, ke marne ka sahara dhundhu
Aur na murda hu, ke jeene ke gamo se chhutu
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Kaun batlayega mujhko kise jakar puchhu
Zindagi kahar ke saancho me dhalegi kab tak
Kab talak aankh na kholega zamane ka zamir
Julm aur jabr ki ye reet chalegi kab tak
Log aurat ko fakat jism samajh lete hain
Asha Bhosle, Hemlata (Lata Bhatt)
Mahendra Kapoor
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor