Main idhar majboor hoon
Aur tu udhar majboor hai
Dekhna ye hai ke ab
Dekhna ye hai ke ab
Kismat ko kya manzoor hai
Dekhna ye hai ke ab
Kismat ko kya manzoor hai ae
Chhup na jaaye baadaalon
Mein chaand ka mukhda kahin
Ban na jaaye pyaar ki
Pehli khushi dukhda kahin
Yoon to dil ko todna hi
Pyaar ka dastoor hai
Dekhna ye hai ke ab
Kismat ko kya manzoor hai ae
Ro rahi hain aarzuen
Ro rahi hain aarzuen
Muskuraaun kis tarah
Beech mein deewaar hai
Nazren milaaun kis tarah
Paas reh kar bhi tu haay
Mujhse kitna door hai
Dekhna ye hai ke ab
Kismat ko kya manzoor hai ae
Band kar de kaun khidki
Kyun meri fariyaad pe
Gham ke shole uthh rahe hain
Ek jalti yaad ke
Dil mera is bekasi ke
Bojh se ab choor hai
Dekhna ye hai ke ab
Kismat ko kya manzoor hai ae ae ae.
Meenal Jain
Sulochana Kadam
Asha Bhosle, Talat Mahmood