Laakh baar dhikkaar hai tujh par
O nirlaj insaan
Jhuk gaya atyaachaar ke aage
Tera dharm imaan
Main nahin maanoonga aa
Main nahin maanoonga
Maati ke putley ko bhagwaan aan
Tum chaaho to kaayar ban kar
Sah lo ye apmaan aan
Main nahin maanoonga
Jinko bal ka maan hai unse
Kehdo ye jaakar ar
Jinko bal ka maan hai unse
Kehdo ye jaakar ar
Kat sakta hai
Jhuk nahin sakta
Baaghi kavi ka sar
Main karta hoon
Aaj bhare bazaar mein ye ailaan aan
Main nahin maanoonga
Maati ke putley ko bhagwaan aan
Tum chaaho to kaayar ban kar
Sah lo ye apmaan aan
Main nahin maanoonga
Mera bhagwan wo hai
Jiski rachnaa hai sansaar aar
Mera bhagwan wo hai
Jiski rachnaa hai sansaar
Mera bhagwan wo hai
Jo hai sabka paalanhaar
Us bhagwaan ke badle kaise
Le loon ye shaitaan aan
Main nahin maanoonga
Maati ke putle ko bhagwaan aan
Tum chaaho to kaayar ban kar
Sah lo ye apmaan aan
Main nahin maanoonga
Kitne kans aur kitne raawan
Is dharti par aaye ae ae
Kitne kans aur kitne raawan
Is dharti par aaye ae
Kisi dusht ke aage
Prabhu ke bhakt na jhukne paaye
Dharm rahaa hai
Dharm rahega
Prithvi par balwaan aan
Main nahin maanoonga
Maati ke putley ko bhagwaan
Tum chaaho to kaayar ban kar
Sah lo ye apmaan aan
Main nahin maanoonga aa aa
Main nahin maanoonga.
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Shamshad Begum
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi