Apne rukh par nigaah karne do
Khubsurat gunaah karne do
Rukh se parda hataao jaane haya
Aaj dil ko tabaah karne do
Rukh se jara naqaab
Utha do mere huzoor
Rukh se jara naqaab
Utha do mere huzoor
Jalwa phir ek baar
Dikha do mere huzoor
Woh mar mari se haath
Woh mehka huwa badan
Woh mar mari se haath
Woh mehka huwa badan
Takraaya mere dil se
Muhabbat ka ik chaman
Mere bhi dil ka phool
Khila do mere huzoor
Rukh se jara naqaab
Utha do mere huzoor
Jalwa phir ek baar
Dikha do mere huzoor
Husn o jamaal aapka
Sheeshe mein dekhkar
Husn o jamaal aapka
Sheeshe mein dekhkar
Madhosh ho chuka hu
Main jalwon ki raah par
Gar ho sake toh hosh
Mein laa do mere huzoor
Rukh se jara naqaab
Utha do mere huzoor
Jalwa phir ek baar
Dikha do mere huzoor
Tum hamsafar mile ho
Mujhe iss hayaat mein
Tum hamsafar mile ho
Mujhe iss hayaat mein
Mil jaay jaise chaand
Koyi suni raat mein
Jaaoge tum kahaan
Yeh baata do mere huzoor
Rukh se jara naqaab
Utha do mere huzoor
Jalwa phir ek baar
Dikha do mere huzoor.
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Mohammed Rafi
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)