Bahaar aane se pehel meri
Duniya mein fija aayi
Abhi dil ki kali khilne
Na payi thi ke murjhai
Mohabbat ka natija humne
Duniya mein bura dekha
Kahi aansu kahi aahe na
Kuch iske siva dekha
Mohabbat ka natija humne
Duniya mein bura dekha
Bada rangin sapna dekhna
Chaha tha ulfat ka
Bada rangin sapna dekhna
Chaha tha ulfat ka
Tamana kya thi aankho ki
Magar aankho ne kya dekha
Mohabbat ka natija humne
Duniya mein bura dekha
Hua dhokha mukaddar par
Bharosa karne walo ko
Bharosa karne walo ko
Huya dhokha mukaddar par
Bharosa karne walo ko
Bharosa karne walo ko
Ke humne aaj tak
Kismat ka ulta faisla dekha
Mohabbat ka natija humne
Duniya mein bura dekha
Kahi aansu kahi aahe na
Kuch iske siva dekha.
Hemanta Kumar Mukhopadhyay
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Asha Bhosle, Hemanta Kumar Mukhopadhyay