Mujhse puchhe mere meet
Geet kaise bante hai
Kya hai bhed kya hai reet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet
Pagal hote hai kuchh log
Jinko lagta hai ye rog
Pagal hote hai kuchh log
Baithe aahe bharte hai
Kagaj kale karte hai
Dil mein aati hai jo baat
Likhte jate hai din raat
Usse un deewano ko
Kisi se ho jati hai preet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet
Mujhse puchhe mere meet
Geeto ke hai roop anek
Unme se ye roop hai ek
Geeto ke hai roop anek
Unme se ye roop hai ek
Gori ke matware nain
Lejate hai dil ka chain
Gori ki matwari chal
Ban jati hai sur aur tal
Gori ke do mithe bol
Ban jate hai man sangeet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet
Geet kaise bante hai
Kya hai bhed kya reet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet.
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar