O meri bahna
Pahanau tujhko gahna
O meri bahna
Pahanau tujhko gahna
Tujhe dulhaniya banau
Aisa dulha dhundh ke lau
Ho sabhi tarah se
Shyana par ek aankh se kana
Na na re bhaiya
Aisa byaah karu na bhaiya
O meri bahna
Pahanau tujhko gahna
Tu kajra dal aankho mein
Tu kajra dal aankho mein
Tera dulha ek lakho mein
Har baat teri manega
Tere dil ko pehachanega
Har baat teri manega
Tere dil ko pehachanega
Waise to marad hai asali
Par dant hain usake nakli
Na na re bhaiya
Aisa byaah karu na bhaiya
O meri bahna
Pahanau tujhko gahna
Jab ghar se tu jayegi
Teri yaad bahut aayegi
Waha pyar milega itna
Hum sabko bhul jayegi
Lekin vishwas hai mujhko
Mere janamdivas par bahena
Tu nishchay hi aayegi
O mere bhaiya
O meri bahena.
Hemanta Kumar Mukhopadhyay, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)