Tere pyar se jeevan bhar jaye
Tere mann ka madhuban khil jaye
Lo suhag ki ye chudiya pahan lo
Lo suhag ki ye chudiya pahan lo
Tu amar suhagan ban jaye
Tera pyar se jeevan bhar jaye
Tere mann ki umange puri ho
Tere sang rahe jeevansathi
Tere mann ki umange puri ho
Tere sang rahe jeevansathi
Chanda se kiran ka ye nata
Jaise dipak ke sang bati
Tere ghar mein sada ujiyara ho
Tere ghar mein sada ujiyara ho
Teri raah mein kaliya mushkaye
Tera pyar se jeevan bhar jaye
Tere kangana ki khan khan se
Neet gunj uthe pi ka angna
Tere kangana ki khan khan se
Neet gunj uthe pi ka angna
Apne is nutan jeevan ko
Tu preet ke rango se rangana
Tu apane piya ke mann bhaye
Tu apane piya ke mann bhaye
Teri mang sinduri sanwar jaye
Tera pyar se jeevan bhar jaye.
Hemanta Kumar Mukhopadhyay, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Bela Bose, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)