Phir chhedne aayi hai
Wo kaali badariya
Phir chhedne aayi hai
Wo kaali badariya
Ab tum hi kaho haan
Ab tum hi kaho kaise
Main sambhlun saawariya
Phir chhedne aayi hai
Wo kaali badariya
Phir chhedne aayi hai
Daaman mein badariya ke
Hain saawan ki ghataaye
Daaman mein badariya ke
Hain saawan ki ghataaye
Khaamosh zabaani mein
Jo ye tujhko sunaaye
Khaamosh zabaani mein
Jo ye tujhko sunaaye
Aey ruthhe huye
Aey ruthe huye sabr ki
Chhalki hai gagariya
Phir chhedne aayi hai
Wo kaali badariya
Phir chhedne aayi hai
Is rut mein jo ruthhe
Wo kabhi chain naa paaye
Is rut mein jo ruthhe
Wo kabhi chain naa paaye
Saawan kabhi jeewan mein
Phir uske na aaye
Saawan kabhi jeewan mein
Phir uske na aaye lag jaaye
Use lag jaaye use kaali
Badariya ki nazariya
Phir chhedne aayi hai
Wo kaali badariya
Phir chhedne aayi hai.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar