Door kahin ek aam ki bagiya
Ah ha ha aa aa aa aa aa
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Gaaon mein ek chhota sa ghar
Ghar mein ek ujla sa aangan
Aangan mein chandan ka palna
Palne mein chanda sa munna
Munne ki aankhon mein nindiya
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Neele neele aasmaan mein
Taaron ka hai ek nagar
Jagmag jagmag ek taare
Par ek shehzaadi ka hai ghar
Chupke chupke raat ko
Uthke dhyaan se dekhe koi agar
Jhilmil jhilmil hai taarein
Mein us shehzaadi ke zevar
Shehzaadi ithlaaye
Shehzaadi yeh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya
Aadhi raat jab ho jaati hai
Jab duniya so jaati hai
Taaron se shehzaadi
Utarke munne ke ghar aati hai
Meethe meethe saare sapne
Apne saath voh laati hai
Sote munne ki palkon pe
Yeh sapne voh sajaati hai
Sirhaane voh aaye
Haule se voh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya.
Richa Sharma
Alka Yagnik, Udit Narayan
Lata Mangeshkar
Alka Yagnik
Kavita Krishnamurthy, Sukhwinder Singh
Kavita Krishnamurthy