Raat yun dil mein teri
Khoyi huyi yaad aayi
Jaise viraane mein
Chupke se bahaar aa jaaye
Aise sehraaon mein haule
Se chale baad
Nasim jaise bimar
Kobe wajah qaraar aa jaaye
Bujhaa jo rauzan e zindaan
To dil yeh samjhaa hai
Ke teri maang sitaaron se
Bhar gayi hogi
Chamak utthin
Hain salaakhen
To ham ne jaana hai
Ke ab sehar tere rukh par
Bikhar gayi hogi
Na gul khile hain
Na un se mile na mai pi hai
Ajib rang mein
Ab ke bahaar guzri hai
Tum aaye ho
Nashab e intezaar guzri hai
Talaash mein hai sehar
Baar baar guzri hai
Nasim tere shabistaan se
Ho ke aayi hai
Meri sehar mein mehek hai
Tere badan ki si
Jab tujhe yaad kar liya
Subah mehek mehek utthi
Jab tera gham jagaa liya
Raat machal machal gayi
Na jaane kis liye
Ummidwaar baittha hun
Ek aisi raah pe
Jo teri rehguzar bhi nahin
Suman Kalyanpur
Asha Bhosle, Lata Mangeshkar
Asha Bhosle, Mohammed Rafi, S.Balbir, Shiv Dayal Batish
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi