Wafa yeh dekh li patthar
Jigar zalim zamane ki
Kasam khayi hai ab humne
Kisi se dil lagane ki
Sab pyar ki baate karte hai
Par karna aata pyar nahi
Hai matlab ki duniya sari
Yaha koi kisi ka yaar nahi
Kisi ko sacha pyar nahi
Sukh mein sab aa aa kar apne
Rishte nate hai batlate
Rishte nate hai batlate
Bure dino mein dekha humne
Aankh bacha kar hai jate
Aankh bacha kar hai jate
Thokar kha kar sambhalne wale
Jit hai teri haar nahi
Hai matlab ki duniya sari
Yaha koi kisi ka yaar nahi
Kisi ko sacha pyar nahi
Aye bande bhagwan se dar
Aye bande bhagwan se dar
Insaan se mat dar
Muhar lagi hai usaki tere
Hak ke dane dane par
Hak ke dane dane par
Uski marzi bina tere
Chubh sakta koi khar nahi
Hai matlab ki duniya sari
Yaha koi kisi ka yaar nahi
Kisi ko sacha pyar nahi
Kisi ko sacha pyar nahi
Kisi ko sacha pyar nahi.
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Amirbai Karnataki, Talat Mahmood
Sulochana Chauhan
Talat Mahmood
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)