Mere bapu se yeh kehna
Ki tumhara desh rota hai
Tumhari kalpanao ka
Yaha par khun hota hai
Mere bapu se yeh kehna
Watan ki tumne phulwari ko
Sicha khun se apne
Tumhari kalapanao ke
Adhure hai abhi sapne
Adhure hai abhi sapne
Tumhare kal ke satyug ka
Nahi abhash hota hai
Mere bapu se yeh kehna
Niyat insaan ki badli badhi
Irshya se barbadi
Sisak kar ro rahi dekho
Ahinsa aur abadi
Ahinsa aur abadi
Aniti nachti hai desh ka
Adar se sota hai
Mere bapu se yeh kehna
Pahan kar wastr ukhabi ke
Bane behrupiye neta
Ahinsa na miti to
Yaha har aasra leta
Yaha har aasra leta
Tumhare naam ka bapu
Yaha vyopar hota hai
Mere bapu se yeh kehna
Tumhara desh rota hai.
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Amirbai Karnataki, Talat Mahmood
Sulochana Chauhan
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)