Sadiyo se sada deti
Rahi hawao ki beti
Koi nahin sunta magar
Mazlum ki fariyad
Bazar mein baithi aurat ko
Apna le koi dastur nahin
Hum sita jhulekha kaise bane
Kuch logo ko manzoor nahin
Manzoor nahin bazar mein
Baithi aurat ko
Aurat ki panaho mein aksar
Mardo ko khushi mil jati hain
Aurat ki panaho mein aksar
Mardo ko khushi mil jati hain
Mardo ki panaho mein lekin
Aurat ab tak masrur nahin
Masrur nahin bazar mein
Baithi aurat ko
Kya kahte hain kya karte hain
Kya kahte hain kya karte hain
Kuch inki zuba ka pas nahin
Ye chahe kisi par zulm kare
Ye log kahi mazbur nahin
Mazbur nahin
Bazar mein baithi aurat ko
Apna le koi dastur nahin
Hum sita jhulekha kaise bane
Kuch logo ko manzoor nahin
Manzoor nahin bazar mein
Baithi aurat ko
Ye dino dharam ke rakhwale
Ye andhe smazo ke malik
Apne matlab ke deewane
Ye jhute riwazo ke malik
Kab apni ijat ki tarha
Aurat ki ijat samjhenge
Aurat to ghar ki jinat hain
Kab uski azmat samjhenge
Kab uski azmat samjhenge
Kab uski azmat samjhenge.
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Shabbir Kumar
Mohammed Aziz, Mohammed Rafi