Sakshi rehna dharti maata
He yamune ye gange
Aaj dropadi dekh rahi
Ye purush hai kitne nange
Are papiyo
Are papiyo pap tumhara
Tumko hi kha jayega
Nari ka apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo
Baithe dekho pathar ban kar
Maha rathi ye sare
Sunta hai brahmand kaapta
Unke dar ke mare
Hai koi maa ka lal
Hai koi maa ka lal
Yaha jo dusto ko lalkare
Chikh rahi hai bahan tumhari
Beti tumhe pukare
Kaun khara hai kaun khota
Aaj ye parkha jayega
Are papiyo
Are papiyo
Sunlo sau putro ki mata
Tum bhi ho ek nari
Ek bar to mujhko dekho
Mai kul vadhu tumhari
Dekho bikhre bal ye
Dekho bikhre bal ye mere
Meri ye lachari
Ab to aankh ki patti kholo
Ab mata gandhari
Tumse in andho ka
Ye andher na dekha jayega
Are papiyo
Are papiyo
Kan khol kar suno
Sati ki laz lutne walo
Kuch din aur nirlazzo
Apna nacha dikha lo
Dekh rahi mai dur disha me
Maha nash ki jwala
Pahnegi nar chandi ek din
Nar mundo ki mala
Ye bhishan anyay aaj ka
Khun se dhoya jayega
Nari ka apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo pap tumhara
Tumko hi kha jayega
Nari ko apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo.
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Asha Bhosle
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Asha Bhosle
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor