Jaa piya tohe
Piya tohe haan laaz nahin aave
Piya haan laaz nahin aave
Ghar mein sundar naar balam haan
Are ghar mein sundar naar balam
Tohe par naari bhaave
Ghar mein sundar naar balam
Tohe par naari bhaave piya tohe
Haan piya tohe haan laaz nahin aave
Piya haan laaz nahin aave
Mere saamne aise jab taake jaanke
Toh kyaa ghul khilaye kahin door jake
Kisi din pakad le agar teri chori
To mar jaaungi main toh faansi laga ke
Meri balaa se baad meri
Meri balaa se baad meri koi
Sautan ghar laave piya tohe
Haan piya tohe haan laaz nahin aave
Piya haan laaz nahin aave
Fas gaye fas gaye bandhu
Poori tarah fas gaye bachaao bachaao
Shaadi karke fas gaye yaar
Shaadi karke fas gaye yaar
Shaadi karke fas gaye yaar
Ye bhi zindagi kya hai umra bhar
Ye bhi zindagi kya hai umra bhar
Karna ek biwi se pyaar
Shaadi karke fas gaye yaar
Shaadi karke fas gaye yaar
Apne hi ghar mein ab yaaro
Ban gaye hum to bandi
Kadam kadam pe hai biwi ki
Nazron ki paa bandi
Bhagwan apna bhala kare
Apne hi ghar mein ab yaaro
Ban gaye hum to bandi
Kadam kadam pe hai biwi ki
Nazron ki paa bandi
Ghar apna ban gaya hai thana
Ghar apna ban gaya hai thana
Biwi ban gayi thanedaar
Biwi ban gayi thanedaar
Thanedaar thanedaar thanedaar
Thanedaar thanedaar bhaai
Thanedaar bani ho to sar pe baraste dande
Thanedaar bani ho to sar pe baraste dande
Dando se bachne ke bhi aate humein hath kande
Hath kande kuchh kaam na aate bhijvate police thane
Thanan todke no do gyarah ho jaate deewane
Ho jaate deewane haan ho jaate deewane
Haan tumhari itani himmat
Par ye bandhan kaise todun
Yeh toh hai janmo ka bandhan
Is ko bandhan mat bolo
Yeh bandhan hi hai apna jeevan
Apna jeevan
Shaadi karke bach gaye yaar
Shaadi karke bach gaye yaar
Shaadi karke bach gaye yaar
Bach gaye yaar bach gaye yaar
Mil gaye yaar mil gaye yaar
Piya tose pyaar mohe aaye
Piya tose pyaar mohe aaye.
Kishore Kumar
Asha Bhosle, Suresh Wadkar, Usha Uthup