Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Surmayi rang saja hai
Tere kajal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke
Mere aanchal ki tarah
Mere akhon me base ho
Mere kajal ki tarah
Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Aasma hain mere
Armaano ka darpan jaise
Aasma hain mere
Armaano ka darpan jaise
Dil yu dhadake mera khanke
Tera kangan jaise
Mast aaj hawaye
Meri payal ki tarah
Surmayi rang saja hai
Tere kajal ki tarah
Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Meri hasti pe kabhi yun
Koyi chhaya hi na tha
Meri hasti pe kabhi yun
Koyi chhaya hi na tha
Tere nazdik mai pehale
Kabhi aaya hi na tha
Mai hu dharati ki tarah
Tum kisi badal ki tarah
Surmayi rang saja hai
Tere kajal ki tarah
Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Aisi rangin mulakat ka
Matalab kya hain
Aisi rangin mulakat ka
Matalab kya hain
In chhalakate huye jazbaat
Ka matlab kya hain
Aaj har dard bhula do
Kisi pagal ki tarah
Surmayi rang saja hai
Tere kajal ki tarah
Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke
Mere aanchal ki tarah
Sham rangin huyi hai
Tere aanchal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke
Mere aanchal ki tarah.