Shayar to nahi hu lekin
Shayar to nahi hu lekin
Shayar ki nazar payi hai
Wo baat kahe deta hu
Jo baat nazar aayi hai
Shayar to nahi hu lekin
Sawan tere rup ki masti
Badal teri zulf ka saya
Tere hotho ki muskane
Phoolo ka hai sharmaya
Ye chand ka ghatna badna
Teri hi to angdayi hai
Wo baat kahe deta hu
Jo baat nazar aayi hai
Shayar to nahi hu lekin
Tere bol hai mithe nagme
Khamoshi rangin fasana
Jagi jagi si palko mein
Khawab hai koi deewana
Kadmo mein haya ne tere
Zanzir si pehnayi hai
Wo baat kahe deta hu
Jo baat nazar aayi hai
Shayar to nahi hu lekin
Chehara jaise nur ka dariya
Aanchal hai ek bahta dhara
Aaj meri nazro mein jaise
Jannat ka hai nazara
Kya husn mila hai tujhko
Kya tune ada payi hai
Wo baat kahe deta hu
Jo baat nazar aayi hai
Shayar to nahi hu lekin
Shayar ki nazar payi hai
Wo baat kahe deta hu
Jo baat nazar aayi hai
Shayar to nahi hu lekin.
Suman Kalyanpur
Asha Bhosle, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)