Do rang duniyaa ke aur do raaste
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Do roop jiwan ke jine ke waaste
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Soch samajh ke paanv rakhe
Samajhaa do har diwaane ko
Samajhaa do har diwaane ko
Ik rastaa mandir ko jaaye
Ik jaaye may khaane ko
Ik jaaye may khaane ko
Raastaa bhool na jaaye
Raahi dhokhaa naa khaaye
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Do roop jiwan ke jine ke waaste
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Ek hain aise log jo
Auron ki khaatir jite hain
Auron ki khaatir jite hain
Doosare wo jo apani khaatir
Apanon ka khoon bhi pite hain
Apanon ka khoon bhi pite hain
Koi phool khilaaye
Koi kaante bikharaaye
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Do roop jiwan ke jine ke waaste
Do rang duniyaa ke aur do raaste
Aur do raaste aur do raaste.
Lata Mangeshkar
Kishore Kumar
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar