Machalti jhoomti thandi
Hawaayen kahti hain
Tadapti maujon ki chanchal
Adaayen kahti hain
Sanwaaro zulf ko kaali
Ghataayen kahti hain
Ye bhigi bhigi suhaani
Fazaayen kahti hain
Tumhin se aaj tumhaari
Nigaahen kahti hain
Tumhin se aaj tumhaari
Nigaahen kahti hain
O o o o
Sheesha e dil itana na uchhaalo
Sheesha e dil itana na uchhaalo
Ye kahin toot jaaega
Ye kahin phoot jaaega
Sheesha e dil itana na uchhaalo
Nazaare ho gaye kurbaan
In nazaaron par
Machalke aa gayin
Laharen bhi ab ishaaron par
Adaa se tairte phirte hain
Ham to dhaaron par
Karenge pyaar ka jaadu
Javaan bahaaron par
Ye kahane aai hain sou
Machhaliyaan kinaaron par
Ye kahane aai hain sou
Machhliyaan kinaaron par
O o o o
Sheesha e dil itana na uchhaalo
Sheesha e dil itana na uchhaalo
Ye kahin toot jaayega
Ye kahin phoot jaayega
Sheesha e dil itana na uchhaalo
La la la la la la la laa
La la la la la la la laa
La la laa la la la laa
La la laa la la la laa
Sambhaalo hosh ke
Dariya ka gahra paani hai
Na doob jaao kahin
Bekhabar jawaani hai
Jawaan bahaar kinaaron
Pe aani jaani hai
Zara khayaal rahe
Dil ajab nishaani hai
Abhi to pyaar ki duniya
Tumhen basaani hai
Abhi to pyaar ki duniya
Tumhen basaani hai
O o o o
Sheesha e dil itna na uchhaalo
Sheesha e dil itna na uchhaalo
Ye kahin toot jaayega
Ye kahin phoot jaayega
Sheesha e dil itana na uchhaalo.
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar