Yehi anjaam ham jaison ka
Aakhirkaar hota hai ae ae
Jabaan par uff galey mein
Jootiyon ka haar hota hai
Ae ji
Suno suno aye duniyawalo
Paakitmaar ki ajab kahaani
Suno suno aye duniyawalo
Paakitmaar ki ajab kahaani
Baithhe baithhe kadki ka
Jab ghor andhera chhaaya
Chal ke kisi ki paakit maaren
Dil ne ye farmaaya
Arre haath kisi ki jeb mein daala
Usne shor machaaya
Ae pakdo pakdo pakdo pakdo
Haath kisi ki jeb mein daala
Usne shor machaaya
Aaye thhe ham maal udaane
Ulta hua safaaya pade tadaatad
Joote aise adaatad pade tadaatad
Ho gayi mushqil jaan bachaani ee ee
Suno suno aye duniyawalo
Paakitmaar ki ajab kahaani
Arre sar ki aisi hui marammat
Sar hua kangaal
Surkh tamaatar jaise ho gaye
Chaanton se ye gaal
Toot gayi hai tangdi apni
Langdi pad gayi chaal
Yaahoo yaahoo
Yaahoo yaahoo oho
Toot gayi hai tangdi apni
Langdi pad gayi chaal
Meri laila dekh ke bhaagi
Manju ka ye haal
Arre jiski khaatir yaaron hamne
Kahaan kahaan ki khaaq hai chhaani
Suno suno aye duniyawalo
Paakitmaar ki ajab kahaani
Arre aisi mili naseehat
Ho gaye dil ke armaan thhande
Chhoot gayin sab khoti baaten
Aur sab khote dhandhe
Khul gayin apni man ki aankhe
Pehle thhe ham andhhe
Aji pehle thhe ham andhhe
Banke lala haridaas ji
Dharam ke sachche bande
Ab to hamne kasam uthha li
Aaj se kainchi nahin chaalaani
Suno suno aye duniyawalo
Paakitmaar ki ajab kahaani.
Talat Mahmood
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)