Tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahake
Puure hi badan mein jaise roshni bhari
Tu hai koi huur ya koi pari hai
Tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahake
Pyaari si muurat bholi si
Suurat phuul ki jaise ho pankhari
Tera badan hai ya hai koi
Ras ki gagar chhalak pari
Gahari nashili gahari nili
Aankhon mein hai masti badi
Honth gulaabi muskaaye
To chhalke ek moti ki lari
Husn ki maalika khwaabon ki
Raani tere jaisa koi nahin
Is duniya mein laakhon hasin
Hain lekin aisa koi nahin
Tauba tauba ye jalwe
Kaise koi na bahake
Hai yeh chaand jaisa chehara
Aur kanwal ki danthal gardan
Morni si chaal hai teri hirni
Jaisi chanchal chitvan
Tu jahaan jahaan se guzare
Mahake voh rahe saari
Rang rang tu chhalke to
Mahake nigaahein saari
Chaand nagar mein thandhi
Hawaayein pyaar ki main le aayuung
Phir main chaand ke chaandi
Aur sone se mahal banaayuunga
Taare torke laayuunga aur
Saara mahal sajaayuunga
Narm mulaayam baadal
Main vahaan tere liye bichhaayuunga
Phuulon se shabnam laayuunga
Phir main tujhe nahalaayuunga
Aur us bhige husn ko jaana
Aankhon se pi jaayuunga
Tauba tauba ye jalwe
Tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahake
Puure hi badan mein jaise roshni bhari
Tu hai koi huur ya koi pari hai
Tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahake.
Kavita Paudwal, Sangeeta, Sonu Nigam, Sukhwinder Singh
Kavita Krishnamurthy
Hariharan, Sadhana Sargam
Sonu Nigam
Kavita Krishnamurthy, Udit Narayan