Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Kya mehkenge phir phool kabhi
Kya phir se bahaare aayegi
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Jaane kaha ki reet hai ye
Koi kare aur koi bhare
Nyaay nahi anyaay hai ye
Doshi jiye nirdosh mare
Sun le tu ae gaafil
Tujhase kahe tera dil
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Gulshan jala diya
Tune adhere de ke isse
Chhin li naino ki muskan
Saanjh sawere raat aur din
Iske liye ab ek samaan
Sun le tu ae gaafil
Tujhase kahe tera dil
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Kya mehkenge phir phool kabhi
Kya phir se bahaare aayegi
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Tere chalan ki aandhi ne
Dekh le kitane ghar lute
Tere chalan ki aandhi ne
Dekh le kitane ghar lute
Bikhar gaye rishte naate
Jeevan ke saathi chhute
Sun le tu ae gaafil
Tujhase kahe tera dil
Tujhase kahe tera dil
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Kya mehkenge phir phool kabhi
Kya phir se bahaare aayegi
Teri chhoti si ek bhul ne
Saara gulshan jala diya
Gulshan jala diya.
Aarti Mukherji
Anuradha Paudwal, Shailendra Singh
Bappi Lahiri
Chandrani Mukherjee