Teri meri hai najar katil ki
Aa teri meri hai najar katil ki
Khair nahi khair nahi mahfil ki
Teri meri hai najar katil ki
Khair nahi khair nahi mahfil ki
Tu sarabi hai tere hath me paimana hai
Mere hatho me chalakta hua maykhana hai
Hum wo saki hai jo diwana bana dete hai
Jam khali ho to najro se pila dete hai
Ye jawani ye ada iska hai or nasha
Jam ye jisne piya mast hokar wo gira
Jara nigah utha diwane
Jara nigah utha diwane
Aj nikal jaye tamnna dil ki
Teri meri hai najar katil ki
Aa teri meri hai najar katil ki
Khair nahi khair nahi mahfil ki
Pyar me ja nki parwah nahi k ijati
Dil me ho dard magar aah nahi ki jati
Pyar karte hai jo ghar bar luta dete hai
Katal ho jaye to katil ko dua dete hai
Kya khabar tujhko bhala
Pyar hai kaisi bala
Aag us dil me uthi shola is dil me utha
Isara mera samjhle dilwar
Isara mera samjhle dilwar
Bat nahi aisi koi muskil ki
Teri meri hai najar katil ki
Aa teri meri hai najar katil ki
Khair nahi khair nahi mahfil ki
Nam mera bhi hai bijli mukaddar wala hai
Na samjh akela tu hi dilwala hai
Ched dono me chalegi to maja ayega
Aag se aag milegi to maja ayega
Kuch teri bat bane kuch meri bat bane
Rat dhalne de jara fir koi ba bane
Kisi ka tu bhi agar ghayal ho
Kisi ka tu bhi agar ghayal ho
Janega bat fir kisi ghayal ki
Teri meri hai najar katil ki
Aa teri meri hai najar katil ki
Khair nahi khair nahi mahfil ki.
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Bhupinder Singh, Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Asha Bhosle