Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar
Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar
Likhna kya ji arz kiya hai
Pyar ki murat dekhkar
Pal mein hai afthab to
Pal mein hai mahatab
Aisa kamal husn ka dekha nahi janab
Main bhi shayar ban baitha hoon
Uski kudrat dekhkar
Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar
Teri tarif mein kai panne
Maine likh likh ke phad dale hai
Kaise bandhu main inko lafzo mein
Tere andaz hi nirale hai
Teri aankho ko zam kya likhu
Zam mein ye nasha nahi hota
Tujhko allah hansi banata kyu
Aur duniya mein agar hansi hota
Phoolo ko bhi khilna aaya
Teri nzakat dekh kar
Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar
Likhna kya ji arz kiya hai
Pyar ki murat dekhkar
Geet gajlo mein itni baat kaha
Main to tujhpe kitab likhuga
Log padte rahege sadiyo tak
Anginat behisab likhuga
Main tere husn ka hoon deewana
Tune sikhla di aashiqi mujhko
Kho chuka tha ghane andhero mein
Tune dikhla di chandani mujhko
Rang birangi ho gayi duniya
Teri rangat dekh kar
Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar
Likhna kya ji arz kiya hai
Pyar ki murat dekhkar
Maine bhi ek geet likha hai
Teri surat dekh kar.
Mohammed Aziz
Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz
Alka Yagnik, Shabbir Kumar
Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz