Dukh sahke jo sukh pahunchaati hai
Us mamta ko ruswaa na karo
Tum maa ho, tum maa ho
Tum aisa na karo
Tum maan ho
Tum aisa na karo
Dukh sahke jo sukh pahunchaati hai
Us mamta ko ruswaa na karo
Tum maa ho, tum maa ho
Tum aisa na karo
Tum maa ho
Tumhi se insaan ko
Ye jism milaa
Aur jaan mili
Neki ki chalan imaan ki lagan
Sachhaayi ki pehchaan mili
Kudrat ne diyaa hai jo rutba
Us rutbe ko neechha na karo
Tum maa ho, tum maa ho
Tum aisa na karo
Tum maa ho
Tumhaare qadmon mein
Jannat ki bahaaren paltin hain
Saahil gulshan milte hai
Tehzeeb ki shamaayen jalti hain
Is ghar ka ujalaa mat chheeno
Is daali ko soonaa na karo
Tum maa ho, tum maa ho
Tum aisa na karo
Tum maa ho
Tumhe is duniya mein
Jaanon ki hifaazat karna hai
Thukraake har ek khudgarzi ko
Insaanon ki khitmat karna hai
Tum naslon ki kheti seenchti ho
Tum jaanon ka saudaa na karo
Tum maa ho, tum maa ho
Tum aisa na karo
Tum achhi tarah pehchaanti ho
Aulaad ka gham kya hota hai
Ye teer sitam kya hotaa hai
Ye kya hotaa hai
Har maan ka tumko dard.
Mohammed Rafi
Sudha Malhotra
Sudha Malhotra
Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey), Sudha Malhotra