Tum paschim ho ham poorab hain
Dono ka mel na milta hai
Ugta hai jo sooraj poorab mein
Arre ugta hai jo sooraj poorab mein
Wo paschhim mein ja dhalta hai
Wo paschhim mein ja dhalta hai
Wo paschhim mein ja dhalta hai
Tum paschhim ho ham poorab hai
Kehta hai ki poorab paschim ke
Milan se itihaas ke
Panne sunahre ho jaayenge
Then let him continue
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai
Poorab ki pawan mangalkaari
Mangal sandesh sunaati hai
Paschhim ki hawa
Mein hai zehar bhara
Jo ghar ghar aag lagaati hai
Dharti dharti mein hai farq bada
Maati maati mein hai antar
Iss maati mein janme saadhu u u u
Iss maati mein janme saadhu
Uss dhool mein janme bikte hain
Uss dhool mein janme bikte hain
Uss dhool mein janme bikte hain
Tum paschhim ho ham poorab hai
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai
Tum baandh rahe iss duniya ko
Tum baandh rahe iss duniya ko
Kaanoonon ki zanjiro se
Ham jod rahe dil se dil ko
Bass pyaar ki chandd lakeeron se
Duniya ki hukoomat chaaho tum
Topon se bombon se goli se
Hamne to dilon pe hai raaz kiya
Hamne to dilon pe hai raaz kiya
Apni geeta ki boli se
Apni geeta ki boli se
Apni geeta ki boli se
Tum paschhim ho ham poorab hai
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai
Tum dhoondh rahe ho o o
Tum dhoondh rahe ho
Naari ke nainon mein
Yuawan ka nartan
Tum dhoondh rahe ho
Nari ke naino mein
Yuawan ka nartan
Ham dhoond rahe hain naari ke
Hriday mein mamta ka bachpan
Ham dhoond rahe hain naari ke
Hriday mein mamta ka bachpan
Tum jhoom rahe
Tum jhoom rahe madira pi ke
Rass lete ho maans ki boti mein
Ham pet bharen do roti mein
Ham pet bharen do roti mein
Aur khush hain ek langoti mein
Aur khush hain ek langoti mein
Aur khush hai ek langoti mein
Tum paschhim ho ham poorab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai
Tumme ham’me ik farqa bada
Jo laakh milaane se mil na sake
Poorab ka himaalaya
Paschhim ki aandhi ke
Thapedon se hil na sake
Aandhi ke thapedon se hil na sake
Paschhim mein suraj
Kabhi ug na sake aa
Purab mein suraj
Kabhi dhal na sake oo
Purab mein suraj
Kabhi dhal na sake
Aa aaa tum ji na sako
Tum ji na sako
Ham mar na sake
Vidhi ka yeh vidhan badal na sake
Hooo tum bhakshak hai
Arre tum bhakshak hai
Ham rakshak hain
Ye sang kabhi na phalta hai
Ye sang kabhi na phalta hai
Ye sang kabhi na phalta hai
Ye sang kabhi na phalta hai
Tum paschim ho ham poorab hain
Donon ka mel na milta hai
Donon ka mel na milta hai.
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mahendra Kapoor
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Mahendra Kapoor
Mahendra Kapoor
Bharat Vyas
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor