Naa raja rahega, naa raani rahegi
Yeh duniya hai fani fani rahegi
Naa jab ek bhi zindgani rahegi
Toh mati sabhi ki kahaani kahegi
Toh mati sabhi ki kahaani kahegi
Dikhayegi rana ke ran ki nishaani
Kahegi shivaji ke praan ki kahaani
Batlaayegi muglo ki baate anjaani
Uss gadar jaychand ki jindagaani
Yeh aapas ki sab badgumaani kahegi
Yeh mati sabhi ki kahaani kahegi
Jo the desh dushan gulaami ke rahi
Lage pharne iss vatan par sayahi
Videsho ki karne lage vah vahi
Gaya desh hatho se aayi tabhaayi
Yeh bhar bhar ke aanko me paani kahegi
Yeh mati sabhi ki kahaani kahegi
Phir svatantra kaa esha sangram aaya
Ke har aadami desh ke kam aaya
Ladi vir janshi ki rani bhavaani
Hajaro ne lakho ne johar jalaya
Yeh kurbaniya khud jubani kahegi
Yeh mati sabhi ki kahaani kahegi
Svatantra sangram nahi woh bagawat thi
Mutni yahi itihas kehta hai
Jala do yeh itihas jhote tumhaare
Yahaan jare jare pe sach hai likha re
Julam woh tumhare sitam woh tumhaare
Karo yaad uff karname woh kare
Ke phatar se aanso ki dhara bahegi
Yeh mati sabhi ki kahaani kahegi
Yeh mati hai tabse naa jab tum the aaye
Yeh mati rahegi naa jab tum rahoge
Iss mati ke niche dabi hai kathaye
Yeh khud hi kahegi re tum kya kahoge
Zameen aasman thartha ke rahegi
Yeh mati sabhi ki kahaani kahegi.
Asha Bhosle
Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Mahendra Kapoor
Mahendra Kapoor
Bharat Vyas
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor