Wo hum na the wo tum na the
Wo hum na the wo tum na the
Wo rahguzar thi pyar ki
Luti jaha pe bewajah
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki,
Wo hum na the
Wo tum na the
Ye khel tha nasib ka
Ye khel tha nasib ka
Na hans sake na ro sake
Na tur par pahunch sake
Na dar par hi so sake
Kahani kisse ye kahe
Kahani kisse ye kahe
Chadhav ki utar ki
Luti jaha pe bewajah
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki,
Wo hum na the wo tum na the
Tumhi the mere rahnuma
Tumhi the mere humasafar
Tumhi the meri roshani
Tumhi ne mujhko di nazar
Di nazar bina tumhare zindagi
Bina tumhare zindagi
Shama hai ek mazar ki
Luti jaha pe bewajah
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki,
Wo hum na the wo tum na the
Ye kon sa muqam hai
Ye kon sa muqam hai
Falak nahi zami nahi
Ke shab nahi sahar nahi
Ke gam nahi khushi nahi
Kaha ye leke aa gayi
Kaha ye leke aa gayi
Hawa tere dayar ki
Luti jaha pe bewajah
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki,
Wo hum na the wo tum na the
Guzar rahi hai tumpe kya
Banake humko dar ba dar
Ye soch kar udas hu
Ye soch kar hai chashm tar
Chashm tar,
Na chot hai ye phul ki
Na chot hai ye phul ki
Na khalish hai ye khar ki
Luti jaha pe bewajah
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki,
Palaki bahar ki
Palaki bahar ki.
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi