Main kaise usse pasand karu
Main kaise aankhen band karu
Woh aurat hai tu mehbooba
Tu sab kuchh hai woh kuchh bhi nahi
Woh aurat hai tu mehbooba
Tu sab kuchh hai woh kuchh bhi nahi
Tum aaise usse pasand karo
Mil baitho baaten chand karo
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Mere liye jo pyar mohabbat uske liye paheli
Mere liye jo pyar mohabbat uske liye paheli
Champa kaise bhaaye usse jiske mann basi chameli
Uska dukh hai mera dukh meri sauten meri saheli
Mere bina akele tum ho tumhare bina akeli
Bas yeh deevar buland kar
Mil baitho baaten chand karo
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Uska naam na le mujhko nafarat hai uske naam se
Thak gaye ho bechain ho tum so jaaon aaram se
Yeh rain milan ki raina hain
Milkar bhi duurr hi rehna hain
Tune kitna tarsaaya hain
Tumne kitna tadpaya hain
Roopa kyu roop chupaati hain
Aaise mein sharm toh aati hain
Ab yeh ghoonghat uthh jaane do
Kuchh der yu hi sharmaanae do
Muhh dhank liya kyu haathon se
Darr lagta hai in baaton se
Main dunga apana naam tujhe
Tum kar doge badnaam mujhe
Kuchh paap nahi hai pyaar hai yeh
Ek sheeshe ki deewar hai yeh
Gir jaane do deewaron ko
Chhupane do chaand sitaaron ko.
Lata Mangeshkar, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lata Mangeshkar
Bhupinder Singh, Lata Mangeshkar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar