Hey yeh bombay sheher haadaso ka sheher hai
Yeh bombay sheher haadaso ka sheher hai
Yahaan jindagi haadason ka safar hai
Yahaan roj roj har mod mod par hota hai koyi na koyi
Haadasa haadasaa haadasaa haadasa
Yahaan ki khushi aur ghum hai anokhe
Bade khubsurat se hote hai dhoke
Bahot tej raftaar hai jindagi ki
Hai fursat kise koi kitana bhi soche
Khushi haadasaa hai ghum haadasa hai
Haqiqat bhulaakar har ek bhagata hai
Yahaan roj roj ki bhaag daud mein hota hai koyi na koyi
Haadasa haadasa haadasa haadasa
Yahaan aadami aasmaan chumate hai
Nashe mein tarakki ke sab jhumate hai
Hari roshani dekh bhaagi woh kaare
Achaanak ruki phir se banake kataari
Yahaan ke parindo ki parwaaj dekho
Haseeno ke chalane ka andaaj dekho
Yahaan husn ishq ki aabo hawaan mein hota hai koyi na koyi
Haadasa haadasa pyaar ka haadsaa
Yeh bombay sheher haadaso ka sheher hai
Yahaan jindagi haadason ka safar hai
Yahaan roj roj har mod mod par hota hai koyi na koyi
Haadasa haadasa haadasa haadasa.
Anand Kumar C
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Amit Kumar
Kishore Kumar
Amit Kumar
Kanchan