Ek mahbuba ek mahbub tha
Ek dusre mein pyar bhi khub tha
Utari thi hasina jaise aasman se
Boli azmane ko noujawan se
Maa ka dil nikal kar jab tum laoge
Mera pahla pahla pyar tab tum paoge
Ek mahbuba ek mahbub tha
Ek dusare mein pyar bhi khub tha
Husn ke deewane ka dekho to hosla
Chir ke sina maa ka dil nikal kar chala
Gir pada wo raste mein thokar jo khai
Girte hi maa ke dil se awaz ye aayi
Chot to nahi aayi tujhko aye mere raaz
Phool si ja hai teri tu rakhna apna khyal
Jaldi se dil leke mera ja tu uske paas
Hone wali bahu meri hogi tanha udas
Ek mahbuba ek mahbub tha
Ek dusare mein pyar bhi khub tha
Mane apne khoon se jis podhe ko sicha
Kaat diya us podhe ne ghar ka hi bagicha
Pyar pe hak hai patni ka to maa bhi hai hakdar
Ek hi daman mein na bhare koi apna saara pyar
Ladki biwi ki bas baaho mein jhul ke
Aaj kal ke bete baithe maa ko bhul ke
Aaj kal ke bete baithe maa ko bhul ke
Maa ko bhul ke
Maa ko bhul ke
Maa ko bhul ke.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Kishore Kumar, Usha Khanna