Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Kya jaane kaise rangon me dhal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Judkar kahin dil jod dein
Toote to dil tod jaate hain ye
Judkar kahin dil jod dein
Toote to dil tod jaate hain ye
Ye phool bankar hain khilte kahin
Kahin dil me kaante chubhaate hain ye
Jaane kahan kis mod pe deke daga dil ko chhal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Apnon se yoon bichde hain jo
Unhen kya bichadne ka kuch gham nahin
Apnon se yoon bichde hain jo
Unhen kya bichadne ka kuch gham nahin
Magar haar kar kyun dukhon se koi
Jahar ghol de zindagi me kahin
Sab khel hai taqdeer ka
Taqdeer se hi badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Rishte kabhi toote kahan
Jo toot jaaye wo rishte nahin
Rishte kabhi toote kahan
Jo toot jaaye wo rishte nahin
Chhupi hai udaasi ke peeche hansi
Dabi dard me bhi khushi hai kahin
Sach to hai ye bas pyar se
Jeewan hamare badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte
Na jaane kaise pal me badal jaate hain
Ye duniya ke badalte rishte.
Anuradha Paudwal, Kishore Kumar
Kishore Kumar, Suman Kalyanpur
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor