Zikr hota hai jab qayamat ka
Tere jalwo ki baat hoti hai
Tu jo chahe to din nikalata hai
Tu jo chahe to raat hoti hai
Tujhko dekha hai meri nazaro ne
Teri tarif ho magar kaise
Ke bane yeh nazar zuban kaise
Ke bane yeh zubaan nazar kaise
Na zuban ko dikhai deta hai
Na nigahon se baat hoti hai
Zikr hota hai jab qayamat ka
Tere jalwo ki baat hoti hai
Tu nigahon se na pilaye to
Ashq bhi pine wale pite hai
Waise jine ko to tere bin bhi
Is zamane mein log jite hai
Zindagi to usi ko kahate hai
Jo guzar tere saath hoti hai
Zikr hota hai jab qayamat ka
Tere jalwo ki baat hoti hai
Tu jo chahe to din nikalata hai
Tu jo chahe to raat hoti hai.
Mohammed Rafi
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)