Aansoo bhi hai khushiya bhi hai
Kaante bhi hai kaliya bhi hai
Dukha shukha se bhari hai ye zindagi
Thume kaisi mili hai ye zindagi
Zara jike to dekho ise jike to dekho
Aansoo bhi hain khushiyan bhi hain
Kante bhi hai kaliyan bhi hain
Dukha shukha se bhari hai ye zindagi
Thume kaisi mili hai ye zindagi
Zara ji ke to dekho ise ji ke to dekho
Ye mat socho ke kitana mila
Socho bahot mila hame jitana mila
Ye mat socho ke kitana mila
Socho bahot mila hame jitana mila
Kismat kismat kaho na
Mehenat mehenat karo
Ke rana bhi hai hasana bhi hai
Paana bhi hai tarasana bhi hai
Nahi itani buri ye zindagi
Thume kaisi mili hai ye zindagi
Zara jike to dekho ise jike to dekho
Log nikale chand main bhi kasar
Jaisa jo dekhe wahi paye nazar
Log nikale chand main bhi kasar
Jaisa jo dekhe wahi paye nazar
Avgun avgun na dekho
Gun hi dhundha karo
Ke halki bhi hai ye bhari bhi hai
Ji mithi bhi hai khari bhi hai
Har pag pe nayi hai zindagi
Thume kaisi mili hai ye zindagi
Zara jike to dekho ise jike to dekho.
Hemlata (Lata Bhatt)
Hemlata (Lata Bhatt)
K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas)