Rone se kya hasil hoga
Aansu pochh ye maya hai
Aansu pochh ye maya hai
Tuhi tu hai sab kuch mera
Tere par meri chaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Beta kisi bhi dukhiya ka dil
Nahi dukhana sapne me
Dosh kisi ka dhundne se
Tum pahle dhundna apne me
Tum ye punay kamana bete
Maine yahi kamaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Aasman ko nahi dekhna
Chalna jab tum raho me
Pair tumhare nahi padenge
Biche hue un kato par
Bhul na jana un bato ko
Jo maine samjhaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Sukh ka bhed batane aata
Dukh sabke jiwan me
Narayan ko hamne dekha
Jhopdiyo me nirdhan me
Jo bhi din aaya haskar ke
Kata wo sukh paya hai
Aansu pochh ye maya hai
Kam usi ko kahte hai jisme
Yash ho kuch naam mile
Chahe damdi bhar hi
Kyu na ho lekin inam mile
Aur nahi to man ye bole
Chain mujhe ab aaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Khate hai jiski thali me
Usme kar dete hai ched
Jungle hai aise logo ka
Rakhna aiso se mat bhed
Dur hi rahna maili ho
Jayegi kanchan kaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Mana is mele me chor
Lutero ka hi jamghat hai
Unko bhi ek din aana hai
Isi jagah ye marghat hai
Kitno ko to jine ka dhang
Marghat ne hi sikhlaya hai
Aansu pochh ye maya hai
Rone se kya hasil hoga
Aansu pochh ye maya hai
Aansu pochh ye maya hai
Tuhi tu hai sab kuch mera
Tere par meri chaya hai
Aansu pochh ye maya hai.
Anup Jalota, Dilraj Kaur, Preeti Sagar
Preeti Sagar