Aao saheliyo aao saheliyo
Banni ko mehandi lagao
Saheliyo banni ko mehandi lagao
Mehandi ki rat suhani suhani re
Mehandi ki rat suhani suhani re
Aaj ki rat pe wari
Chand sa muhkda meri banni ka
Chand sa muhkda meri banni ka
Banni pe main balihari
Banni pe main balihari
Jhilmil sab gao saheliyo
Banni ko mehandi lagao
Aao saheliyo aao saheliyo
Banne ko mehandi lagao
Banne ko mehandi lagao
Pyar se gund ke mehandi
Pyar se gund ke mehandi
Saheliyo aaj bannne ko lagaye
Banna hai mera chail chabila
Banna hai mera chail chabila
Le lu banne ki balaye
Le lu banne ki balaye
Geet khushi ke gao saheliyo
Banne ko mehandi lagao
Dulhan bani aaj
Dulhan bani hai saheli hamari
Dulhan bani hai saheli hamari
Aaj dulhan bani
Kali zulfo mein taro ki ladiya sajaye
Pyare mukhde ko
Pyare mukhde ko
Sabnam ke pani se dhoye
Aaj sasural jane ki hai tyari
Aaj sasural jane ki hai tyari
Dulhan bani hai aaj
Dulhan bani hai saheli hamari
Dulhan bani hai saheli hamari
Aaj dulhan bani
Apni ulfat ka likhna fasana hame
Apni ulfat ka likhna fasana hame
Jake sasural bhul na jana hame
Jake sasural bhul na jana hame
Kaise bhulegi
Kaise bhulegi bholi si surat tumhari
Dulhan bani hai saheli hamari
Aaj dulhan bani
Shera bandho
Pyaare dulhe ko shera bandho
Jug jug jiye tu sherewale
Jug jug jiye tu sherewale
Baani laaye ghar mein ujale
Shera bandho
Pyaare dulhe ko shera bandho
Kaun aaya saheli aaj teri gali mein
Kaun aaya saheli aaj teri gali mein
Aarzue machalne lagi dil ki gali mein
Aarzue machalne lagi dil ki gali mein
Kaun aaya saheli haa aaya saheli
Aaj teri gali mein
Kaun aaya saheli aaj teri gali mein
Chand uthke tu dekh
Wo chakor aaya hai
Chand uthke tu dekh
Wo chakor aaya hai
Dil churane ko
Din dahade chor aaya hai
Dil churane ko
Din dahade chor aaya hai
Ho raha hai
Ho raha hai yeh charcha
Aaj gali gali mein
Ho raha hai yeh charcha
Aaj gali gali mein
Kaun aaya saheli haa aaya saheli
Aaj teri gali mein
Kaun aaya saheli aaj teri gali mein.
Zeenat Begum
Naseem Akhtar
Zeenat Begum
Zeenat Begum