Vidhi ke vidhan se dharm bana
Insaano ne kanoon racha
Inke hote bhi dharti par
Anyay se aankhir kaun bacha
Yeh jeevan hai kurukshetra yaha
Anyay yeh jab jab hota hai
Tab dharm kahan kho jata hai
Kanoon kahan tab sota hai
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai
Yeh baat koi to batalaye
Yeh raaz koi to samajhaye
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai
Aparadh yaha koi aur kare
Kisi aur ke sar ilzaam lage
Yeh aag lagaye aur koi
Iss aag mein koi aur jale
Sach ka na sabut mile koi
Sach ka na sabut mile koi
Insaaf pe koi bas na chale
Bas na chale
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai
Sapno ka marmari taaj mahal
Sapno ka marmari taaj mahal
Ek thokar mein geer jata hai
Do aankhon se aansu ban kar
Jeevan ka pyar beh jata hai
Kaise koi dil patthar ban kar
Kaise koi dil patthar ban kar
Yeh zulmo sitam seh jata hai
Seh jata hai
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai
Do pyar bhari ruho mein kaun
Nafarat ka zaher bhar jata hai
Pal bhar na bichad ne walo ko
Pal bhar mein juda kar jata hai
Wo pyar kaha kho jata hai
Wo pyar kaha kho jata hai
Vishvash kaha mar jata hai
Mar jata hai
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai
Yeh baat koi to batalaye
Yeh raaz koi to samajhaye
Aisa kyon hota hai aakhir
Aisa kyon hota hai.
Asha Bhosle, Shailendra Singh
Vani Jairam
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Alka Yagnik, Kishore Kumar