Ari o shokh kaliyo muskura dena vo jab aaye

Suno phulo mahek apani luta dena vo jab aaye
Vo jab aaye adab se daliya phulo ki jhuk jaaye

Vo jab guzare chaman se qafile bhanvaro ke ruk jaaye
Bharo tum gale usko laga lena vo jab aaye
Ari o shokh kaliyo muskura dena vo jab aaye
Bahut tarif karti hai ye kaliya bar bar usaki

Tamanna hai ki mai bhi dek lu rangi bahar uski
Havao tum naqaab uski utha dena vo jab aaye
Ari o shokh kaliyo muskura dena vo jab aaye
Bagair uski mohabbat ke mai zinda rahe na paunga

Magar ye baat dil ki mai kisi se kah na paunga
Nigaho haal e dil usko suna dena vo jab aaye
Ari o shokh kaliyo muskura dena vo jab aaye
Suno phulo mahek apani luta dena vo jab aaye.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Lata Mangeshkar
Mahendra Kapoor
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor