Bade miyaan diwane aise naa bano
Hasina kya chaahe hamse suno
O bade miyaan diwaane aise naa bano
Hasina kya chaahe yahi to
Maaloom nahin hai hamse suno
Sabse pahle suno miyaan
Karke warjish bano jawaan
Sabse pahle suno miyaan
Karke warjish bano jawaan
Chehra polish kiya karo
Thodi maalish kiya karo
Istyle se uthe qadam sina
Zyada to pet kam
Ai kiblaa ujle baalon ko
Rang daalo ban jaao gulfaam
Bade miyaan diwane aise naa bano
Hasina kya chaahe hamse suno
Sikho kartab naye naye
Fashion ke dhab naye naye
Sikho kartab naye naye
Fashion ke dhab naye naye
Dhilaa dhaalaa libaas kyun
Resham pahno kapaas kyun
Fan ye jaadoogari kaa hai
Armaan tumko pari kaa hai
To kiblaa maaro mantar dainty
Ban kar niklo waqt e shaam
Bade miyaan diwane aise naa bano
Hasina kya chaahe hamse suno
Tanhaai mein agar kahin
Aa jaaye wo nazar kahin
Tanhaai mein agar kahin
Aa jaaye wo nazar kahin
Kahiye haathon mein haath daal
Ae gul chehra pari jamaal
Muddat se dil udaas hai
Tere honthon ki pyaas hai
Ae dilabar mere lab par kab
Chhalkegaa tere lab kaa jaam
Bade miyaan diwaane aise naa bano
Hasina kya chaahe hamse suno
O bade miyaan diwaane aise naa bano
Hasina kya chaahe yahi to
Maaloom nahin hai hamse suno
Lalalalalala
Is tanhai me ai hasin
Itni doori bhali nahin
Aaya mausam bahaar ka
Rakhle dil bekaraar ka
Mere haathon thon thon
Me haath daal ae gul
Chehra pari jamaal
Muddat se dil udaas da da
Daas hai tere honthon ki pyaas hai
Ae dilbar mere lab par
Kab chhalkegaa tere
Lab kaa jaa jaa jaa.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi