Basti basti nagri nagri
Kah do gaaon gaaon me
Kal tak the jo sar pe chade
Wo aaj pade hai paav me
Re basti basti nagri nagri
Kah do gaaon gaaon me
Kal tak the jo sar pe chade
Wo aaj pade hai paav me
Itni chhoti si galti ki
Itni badi saza na do
Bhul ki mafi mang raha hu
Ab to mujhko maaf karo
Bhul ki mafi mang raha hu
Ab to mujhko maaf karo
Abhi to tumko pata chalega
Kya hai aate dal ka bhav
Apni karni ka phal bhogo
Maafi wafi bhul jaao
Apni karni ka phal bhogo
Maafi wafi bhul jaao
Are waqt badalte der lage na
Waqt badalte der lage na
Us malik se kuch to daro
Husn pe itna na itrao
Kal ki bhi kuch fikar karo
Husn me kitni takat hai
Tum bhul gaye nadani me
Sharam hai kuch to dub maro
Tum ab chulu bhar pani me
Sharam hai kuch to dub maro
Tum ab chulu bhar pani me
Bahut niradar hua hamara
Raha nahi dil par kabu
Todke bandhan duniya ke
Ab hone chale hai hum sadhu
Ab hone chale hai hum sadhu
Barso lag jayenge bhaiya
Ugne me asali dadhi
Isiliye jhole me rakh kar
Laya hu nakli dadhi
Yadi kuwari kanya koi
Sankat me phas jayegi
Tod samaadhi madad karunga
Jab bhi wo chillayegi
Alvida alvida alvida alvida
Ae duniya walo kaha suna bisra dena
Mere hriday ki dukhad katha
Tum is yantar se sun lena
Jai shankar
Yantar band kiya to kya
Yantar band kiya to kya
Hum dhuni yahi ramayenge
Bachhe bachhe ko bachha
Ab sari katha sunayenge
Jai ho jai ho swaami ji ki
Bhed jagat ka chhupa hai
Swami aaj tumhari aankho me
Unpar aancha na aaye jinki
Laaj tumhare hatho me
Phenk do jhola noch lo dadhi dadhi
Phenk do jhola noch lo dadhi
Apne dil ko saaf karo
Humne apni galti mani
Ab to humko maf karo
Dost ka itna kare niradar
Apna nahi ye sewa hai
Jo bhi cheli sharan me aaye
Usko milti mewa hai
Basti basti nagri nagri
Kah do gaaon gaaon me
Basti basti nagri nagri
Kah do gaaon gaaon me
Kal tak the jo bigde bigde
Aaj hai apni baaho me
Kal tak the jo bigde bigde
Aaj hai apni baaho me
Aaj hai apni baaho me.
Anuradha Paudwal, Deven Verma, Mohammed Rafi
Deven Verma, Mohammed Rafi, Ravi
Mohammed Rafi