Bhej hi dena tha to babul
Pyar diya kyu itna
Kahi nahi mamta ka sagar
Ma ke aanchal jitna
Chhut gayi sakhiya bhar aayi ankhiya
Chhut gayi sakhiya bhar aayi ankhiya
Vinti hai meri kahar ek pal ruk jana
Ek pal ruk jana
Jitne aansu aaj bahaye
Tune babul ke aangan me
Mai utne hi phul bharunga
Sajni tere daman me
Sapno ke gaao me palko ki chhav me
Chal gori chal us paar
Kahe ab ruk jana
Kahe ab ruk jana
Hire moti nahi meri chahat
Pyar tera sanam mangti hu
Dur karna na kadmo se mujhko
Sirf itni kasam mangti hu
Chhut gayi sakhiya bhar aayi ankhiya
Vinti hai meri kahar ek pal ruk jana
Ek pal ruk jana
Jab tak hai jivan ki dhara
Rahega apna ek kinara
Ye bandhan na tut sakega
Sath kabhi na chhut sakega
Sapno ke gaao me palko ki chhav me
Chal gori chal us par.
Asha Bhosle, Mohammed Rafi