Hum aaj safar ko chale
Hum aaj safar ko chale
Kabhi din uge kabhi din dhale
Magar is aasman ke chale
Dekho ji hum aaj safar ko chale
Are ho
Upar neela neela hai ambar
Upar neela neela hai ambar
Niche hai dharti pyari re
Hari hari dharti hai pyari
In dono ke bich machalte
Bite umariya sari re
Ho bite umar humari
Kabhi kato par hum chale
Phulo par hum pale
Jo hi sukh dukh ki ghadiya chale
Dekho ji hum aaj safar ko chale
Hum aandhi aur
Tufano se ladne wale
Hum jaan hatheli
Par lekar chalne wale
Lambi hai dagar
Humko nahi dar
Lambi hai dagar
Humko nahi dar
Jis rah hume siche
Manzil ko liye hum chalte hai
In pawo ke niche
In pawo ke niche
Hum aaj safar ko chale
Aapas se nahi darne wale
Hum sabke liye marne wale
Hum sabke liye marne wale
Hume rah dharm ki pyari
Insaaf ke hum hai pujari
Insaaf ke hum hai pujari
Bebas ke liye bebas ke liye
Kurban yeh jaan humari
Kurban yeh jaan humari
Hum aaj safar ko chale
Kabhi din uge kabhi din dhale
Magar is aasman ke tale
Dekho ji hum aaj safar ko chale.
Mohammed Rafi
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)